Wednesday, 28 January 2015


Kabhi kabhi mere dil mein Khayal aata hai

Best Urdu Ghazal Ever.
Kabhi kabhi mere dil mein Khayal aata hai
Ke zindagi teri zulfoon ki narm chhaahoon mein
Guzarne pati to shadab ho bhi sakti thi
Yeh teergi jo meri zeest ka muqaddar hai
Teri nazar ki shuaaon mein kho bhi sakti thi
Ajab na tha ke main begana-e-alam ho kar
Tere jamaal ki rahnaeyon mein kho rahta
Tera gudaz badan teri neem-baaz aankhein
Inheen haseen fasanon mein mahv ho rahta
Pukarti mujhe jab talKhiyan zamane ki
Tere labon se halavat ke ghoonT pi leta
Hayat cheekhti phirti barhana-sar, aur main
Ghaneri zulfoon ke saaye mein chhup ke ji leta
Magar yeh ho na saka aur ab yeh aalam hai
Ke tu nahien, tera Gham, teri justuju bhi nahien
Guzar rahi hai kuchh is tarah zindagi jaise
Ise kisi ke sahaare ki aarzu bhi nahien
Zamane bhar ke dukhoon ko laga chuka hoon gale
Guzar raha hoon kuchh anjani rah-gaahoon se
Muheeb saaye meri simt baRhte aate hain
Hayat-o-maut ke pur-haul Kharzaroon se
Na koi jada-o-manzil na roshni ka suraGh
BhaTak rahi hai Khalahoon mein zindagi meri
Inheen Khalaoon mein rah jauonga kabhi khokar
Main janta hoon meri ham-nafas magar yoon hi
Kabhi kabhi mere dil mein Khayaal aata hai.!

Tuesday, 13 January 2015

Gham Se Lipat Hi Jaaienge

Gham Se Lipat Hi Jaaienge Ayse Bhi Hum Nahi
Duniya Se Katt Hi Jaaienge Ayse Bhi Hum Nahi,

Din Raat Baant`te Hain Humen Mukhtalif Khiyaal
Yoon Un Mein Batt Hi Jaaienge Ayse Bhi Hum Nahi,
...
Itne Sawaal Dil Mein Hain Aur Woh KhamosH Dar
Us Dar Se Batt Hi Jaaienge Ayse Bhi Hum Nahi,

Hain Sakhti-e-Safar Se Bohot Tang Par "Munir"
Ghar Ko Plat Hi Jaaienge Ayse Bhi Hum Nahi.




Aaj Bhi Wo Taqadus Bhari Raat

Aaj Bhi Wo Taqadus Bhari Raat Mehki Hui Hai,Wasi.
Main Kisi Main,Koi Mujh Main Dhalta Raha,Chaand Jalta Raha.


Sunday, 14 December 2014

Tujhe Ishq Ho Khuda Kare

Tujhe Ishq Ho Khuda Kare
Koi Tujh Ko Usse Juda Kare


Tere Lub Hansna Bhool Jaen
Or Teri Aankh Purnam Raha Kare


Usse Dekh Ke Tu Ruk Pare
Or Woh Nazar Jhuka Ke Chala Kare

Tujhe Hijr Ki Woh Jhari Lage
Tu Millan Ki Har Pal Dua Kare

Tere Khuwab Bikhrain Tooot Kar
Use Kirchi Kirchi Chuna Kare

Tu Nagar Nagar Phira Kare
Tu Galli Gallli Sada Kare

Tujhe Ishq Ho Phir Yaqeen Ho
Use Tasbeehon Pe Parha Kare

Main Kahoon Ke Ishq Dhong Hai
Or Tu Nahin Nahin Kaha Kare,

میں تنہائی کا حاصل ہو گیا ہوں

میں تنہائی کا حاصل ہو گیا ہوں
بھری دُنیا میں شامل ہوگیا ہوں
اُسے آساں سمجھ لینے کی دُھن میں
میں اپنے آپ مشکل ہوگیا ہوں
بہت پتّھر بنا ہُوں ٹوٹنے کو
مگر اِک چوٹ سے"دل" ہو گیا ہُوں
میری فطرت رہی ہے قتل ہونا
مگر مشہور "قاتل" ہو گیا ہُوں
غبارِ ہمسفر کے ساتھ رہ کر
پسِ محرابِ منزل ہو گیا ہُوں
مجھے دریا سے مِلنے کی ہوس تھی
بکھر کر ریگِ ساحل ہو گیا ہُوں
کہا کل چاند نے بنجر زمیں سے
میں آبادی کے قابل ہو گیا ہُوں
ضروری تھا میرا محسنؔ سے مِلنا
میں خُود رَستے میں حائل ہو گیا ہُوں