Wednesday, 28 January 2015


Kabhi kabhi mere dil mein Khayal aata hai

Best Urdu Ghazal Ever.
Kabhi kabhi mere dil mein Khayal aata hai
Ke zindagi teri zulfoon ki narm chhaahoon mein
Guzarne pati to shadab ho bhi sakti thi
Yeh teergi jo meri zeest ka muqaddar hai
Teri nazar ki shuaaon mein kho bhi sakti thi
Ajab na tha ke main begana-e-alam ho kar
Tere jamaal ki rahnaeyon mein kho rahta
Tera gudaz badan teri neem-baaz aankhein
Inheen haseen fasanon mein mahv ho rahta
Pukarti mujhe jab talKhiyan zamane ki
Tere labon se halavat ke ghoonT pi leta
Hayat cheekhti phirti barhana-sar, aur main
Ghaneri zulfoon ke saaye mein chhup ke ji leta
Magar yeh ho na saka aur ab yeh aalam hai
Ke tu nahien, tera Gham, teri justuju bhi nahien
Guzar rahi hai kuchh is tarah zindagi jaise
Ise kisi ke sahaare ki aarzu bhi nahien
Zamane bhar ke dukhoon ko laga chuka hoon gale
Guzar raha hoon kuchh anjani rah-gaahoon se
Muheeb saaye meri simt baRhte aate hain
Hayat-o-maut ke pur-haul Kharzaroon se
Na koi jada-o-manzil na roshni ka suraGh
BhaTak rahi hai Khalahoon mein zindagi meri
Inheen Khalaoon mein rah jauonga kabhi khokar
Main janta hoon meri ham-nafas magar yoon hi
Kabhi kabhi mere dil mein Khayaal aata hai.!

Tuesday, 13 January 2015

Gham Se Lipat Hi Jaaienge

Gham Se Lipat Hi Jaaienge Ayse Bhi Hum Nahi
Duniya Se Katt Hi Jaaienge Ayse Bhi Hum Nahi,

Din Raat Baant`te Hain Humen Mukhtalif Khiyaal
Yoon Un Mein Batt Hi Jaaienge Ayse Bhi Hum Nahi,
...
Itne Sawaal Dil Mein Hain Aur Woh KhamosH Dar
Us Dar Se Batt Hi Jaaienge Ayse Bhi Hum Nahi,

Hain Sakhti-e-Safar Se Bohot Tang Par "Munir"
Ghar Ko Plat Hi Jaaienge Ayse Bhi Hum Nahi.




Aaj Bhi Wo Taqadus Bhari Raat

Aaj Bhi Wo Taqadus Bhari Raat Mehki Hui Hai,Wasi.
Main Kisi Main,Koi Mujh Main Dhalta Raha,Chaand Jalta Raha.